Kabhi socha tha k "Aaj" aesa ho ga !
Keh her nae suraj ke sath jb zindagi phal phool rhe ho gi, apnay aanay walay kal k liay umeedon ko smaet rhe ho gi to koi...intahai khamoshi se apnay sath na qabil e bardasht ala-e-awaaz bandhay yun be-rhmi se umeed ki kirno ko laho lahan kr dy ga aur naveed-e-zindagi is lrza denay walay be hangum shor se kitnay tukkro me taqseem ho kr kesy dooor ja giray gi aur hr roz yeh zameen kitney he be-zararr logon ke khoon se apni payaas bhujae gi...
Is "Aaj" ne hamary aanay walay kal ko kis qadar mayoosi ki chadar me lapaet dia hy."Aaj" ke halaat ki thapki hmaray kal ky roshan khawabon ko gehri neend ke andheron me sulati ja rhe hy...
Aakhir kon hmaray Pakistan ko aesi qatil soch sy paak kr skta hy???
Han koi aesa Jo!!!
Jo intahai oonchay takht per beth ker bhi apnay mufaad ki bajae is ke mufaad ke hasool ke liay janooni pann rakhta ho, jo aesi Qaedana salahiyaton ka malik ho keh jin se wo is paak sr-zameen ki gaer himayati sochon ko maat de dy, wo aesi konpal bn kr photay keh jo dekhtay he dekhtay aik tnawar darakht bn kr apni paedaar shakhoon se in mujrimana quwaton ko jakar le aur jo dukhoon se choor awaam ko is takleef deh dhoop se bacha kr in per saya dar thanday ghanay badlon ki trh chhaa jae...
HAN BILKUL AESA... bilkul aesa maseeha to chahiye is mulk o qoam ko... keh jo apni maseehai se hamary is chotay se tukray,is kul qainaat per gazibana qabzay se pehlay he isy apni pur sakoon panah me le ly...........!
Saturday, May 15, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Bohat achi writing hy. mujha achi lagi words acha hy topic concept sub gud hy .
ReplyDeletehmm..v hrt toching thoughtz..ItZ hrsh REALITY OF LIFE..bt kya kia ja skta h..hope 4 da bst..MAY ALLAH BLS OUR PAK..(AMEEN)
ReplyDelete@MANO..
koi to nahe ha lakin in sb halat ka koi aik shks zeemedar nahe.....ap ka concept acha ha....bohat achay say msg convay kya ha...
ReplyDeleteHi Dear, I see your blog which is very nice witten. You may visit me at www.arshadbhatti1974.blogspot.com
ReplyDelete