kesi hy
yeh Zindagi!!!
non stop chalti rhnay wali,
khh jesy is k rastay me sifr aur sirf
sabz isharay he lgy hein,surkh isharo ka to door door tk koi nisha he nahe,,,
Kabhi to shadeed grmi me school ki akhri class ke bad bjny wali bell pr yun khushi sy bheer ki trh
school k gate ki trf bhagti hoi,itny grm mosam me b apnay surkh chehry pr bahaar jesi taazgi liay kesy payar se apny liay intizar me khray hoey sy
dorr kr liptt jany wali,,,
Kabhi...kabhi to aala taleem hasil kr lenay ke bad bhi jesy...jesy mayoosi me khen khud ko gumm krti hoi ,to kabhi akhbarat me mulazmat ke chamakty damakty pur-kashish ishtaharat dekh kr he
umeed ki roshan kirno sy twanai hasil krnay wali,,,
Pr kabhi to apny aashiyanay ki hifazat krti hoi apny pyaro ki bharpoor sahoolto ke liay un-ginatt mojoon se tkkrati hoi aur be-shumaar aazmaishoon se
tanha lrrti hoi, waqt sy pely he apny srr pr chandi sajanay wali,,,
Magar...
is me apno ki chahat ,kisi ki shadeed qurbat ka
dil khush kr denay wala ehsas ,dosto ki shor mchaati
be waja hansi ,bachay ki pedaish pr zindga ki naveed deti hoi usky
ronay ki awaaz, raah sy patharr hata kr pahaar sr krny ki dily khushi,kisi ko acha mashwara de kr
zehni sakoon,behan bhaiyon sy
payar bharay larai jhagry,Maan Baap ki sirf hmari chen bhari neend k liay apni
neend ki qurbani aur shadeed mayoosi ke alam me kisi ki
achi tehreer parrh leny se thakawat dooor kr deny waly khushgwaar androni sakoon...jesi
nematein bhi mojood hein.
"KESI HY NA YE ZINDAGI"... ... ...