Tuesday, July 6, 2010

"MORNING"
is a good time to remember
all the sweet things &
all sweet persons in your "LIFE"
so wake up with your
"SWEET DREAMS"


HaVe A nIcE dAy ...

Saturday, June 12, 2010

masoom dino per bojhh ...

Aakhir me b aik insan hon,
is dharti ka aik baasi ,
jeeta jagta zinda insan,
is chaman ka aik phool,
phr mj se ye imtiyazi salook q???

aakhir q me apne mustaqbil k liay khusgawar yadein nahe smaet skta? 

Q mujhe bachpan k in sunehry dino me keh jb aik masoom bacha apnay nannhy hatho se qalam pkrta hy,ye bhari bhar km eentein uthany pr majboor kr dia gya hy keh jin ki skhti ne mery in narm hatho ko zkhmi kr dia hy...

Me kisi khobsurat se bagh me achay kpray pehnay hoey pyary bachon ke sath q nhe khel skta aur q mujhe is kooray ke medaan me gndagi se khelny pr majboor kia jata hy...

Akhir q mujhe dhakkay diay jaty hein,dudhkara jata hy,meri trf hqarat ki nazar se dekha jata hy...
akhir q mujhe khilnay se phly he murjhaya ja rha hy...

akhir me b aik insaan hon,
is dharti ka beta,
phr mj se ye imtiyazi salooq q ??? 
                                       (Child Labour Day 11 May)

Wednesday, May 26, 2010

"A Silent Candle cares"

When a candle get lighted,
it seems,
that its innocence,
giving us a message of,
"Hope"...
also,
a moral lesson,
to burn yourself,
but,
to keep others satisfy,
when they are,
afraid of,
darkness of disoppointment...
No one can understand,
its silence,
as,
it is talking,
about,
its sympathy,
is with you,
when u feel,
lonliness,
in your dark room... ... ...


Tuesday, May 25, 2010

Pegham deta hy "Subah Ka Suraj"

Jab halkay halkay Suraj,
jhankanay lagta hy,
ghanay thanday badlo ki orrh se,
to smj jao,
keh !
us ki kirnein pegham deti hein,
ik aur "ROSHAN SUBAH" ka... ...
aur aaas ki roshni khti hy,
tum be aik bar phir,
mayosi ki gard,
apne kapro se jhaar kar,
ik nae umeed ka daman thaam kr,
nikal pro us raste per,
keh
jo jata hy,
sirf tumhari,
MANZIL KI TARAF ... ... ...

Saturday, May 15, 2010

HAN KOI "AESA" ...

Kabhi socha tha k "Aaj" aesa ho ga !
Keh her nae suraj ke sath jb zindagi phal phool rhe ho gi, apnay aanay walay kal k liay umeedon ko smaet rhe ho gi to koi...intahai khamoshi se apnay sath na qabil e bardasht ala-e-awaaz bandhay yun be-rhmi se umeed ki kirno ko laho lahan kr dy ga aur naveed-e-zindagi is lrza denay walay be hangum shor se kitnay tukkro me taqseem ho kr kesy dooor ja giray gi aur hr roz yeh zameen kitney he be-zararr logon ke khoon se apni payaas bhujae gi...
Is "Aaj" ne hamary aanay walay kal ko kis qadar mayoosi ki chadar me lapaet dia hy."Aaj" ke halaat ki thapki hmaray kal ky roshan khawabon ko gehri neend ke andheron me sulati ja rhe hy...
Aakhir kon hmaray Pakistan ko aesi qatil soch sy paak kr skta hy???
Han koi aesa Jo!!!
Jo intahai oonchay takht per beth ker bhi apnay mufaad ki bajae is ke mufaad ke hasool ke liay janooni pann rakhta ho, jo aesi Qaedana salahiyaton ka malik ho keh jin se wo is paak sr-zameen ki gaer himayati sochon ko maat de dy, wo aesi konpal bn kr photay keh jo dekhtay he dekhtay aik tnawar darakht bn kr apni paedaar shakhoon se in mujrimana quwaton ko jakar le aur jo dukhoon se choor awaam ko is takleef deh dhoop se bacha kr in per saya dar thanday ghanay badlon ki trh chhaa jae...
HAN BILKUL AESA... bilkul aesa maseeha to chahiye is mulk o qoam ko... keh jo apni maseehai se hamary is chotay se tukray,is kul qainaat per gazibana qabzay se pehlay he isy apni pur sakoon panah me le ly...........!

Friday, May 14, 2010

"Happy Family Day"...



  • Caring devoted "PARENTS",

  • Younger stupid "BROTHERS",

  • Friendly loveable "SISTERS",

&


  • Naughty Emotional "YOU",

make a "COMPLETE FAMILY"...

May Allah bless all always (ameen)

"HAPPY SWEET BLESSED FAMILY DAY"

Thursday, May 13, 2010

"yeh Zindagi"

kesi hy yeh Zindagi!!!
non stop chalti rhnay wali,
khh jesy is k rastay me sifr aur sirf sabz isharay he lgy hein,surkh isharo ka to door door tk koi nisha he nahe,,,
Kabhi to shadeed grmi me school ki akhri class ke bad bjny wali bell pr yun khushi sy bheer ki trh school k gate ki trf bhagti hoi,itny grm mosam me b apnay surkh chehry pr bahaar jesi taazgi liay kesy payar se apny liay intizar me khray hoey sy dorr kr liptt jany wali,,,
Kabhi...kabhi to aala taleem hasil kr lenay ke bad bhi jesy...jesy mayoosi me khen khud ko gumm krti hoi ,to kabhi akhbarat me mulazmat ke chamakty damakty pur-kashish ishtaharat dekh kr he umeed ki roshan kirno sy twanai hasil krnay wali,,,
Pr kabhi to apny aashiyanay ki hifazat krti hoi apny pyaro ki bharpoor sahoolto ke liay un-ginatt mojoon se tkkrati hoi aur be-shumaar aazmaishoon se tanha lrrti hoi, waqt sy pely he apny srr pr chandi sajanay wali,,,
Magar...
is me apno ki chahat ,kisi ki shadeed qurbat ka dil khush kr denay wala ehsas ,dosto ki shor mchaati be waja hansi ,bachay ki pedaish pr zindga ki naveed deti hoi usky ronay ki awaaz, raah sy patharr hata kr pahaar sr krny ki dily khushi,kisi ko acha mashwara de kr zehni sakoon,behan bhaiyon sy payar bharay larai jhagry,Maan Baap ki sirf hmari chen bhari neend k liay apni neend ki qurbani aur shadeed mayoosi ke alam me kisi ki achi tehreer parrh leny se thakawat dooor kr deny waly khushgwaar androni sakoon...jesi nematein bhi mojood hein.
"KESI HY NA YE ZINDAGI"... ... ...